shahr se yaar savār huā jo savād meñ ḳhuub ġhubār hai aaj
dashtī vahsh o tair us ke sar tezī hī meñ shikār hai aaj
barafaroḳhta ruḳh hai us kā kis ḳhūbī se mastī meñ
pī ke sharāb shagufta huā hai us nau-gul pe bahār hai aaj
us kā bahr-e-husn sarāsar auj o mauj o talātum hai
shauq kī apne nigāh jahāñ tak jaave bos-o-kanār hai aaj
āñkheñ us kī laal huiiñ haiñ aur chale jaate haiñ sar
raat ko daarū pī soyā thā us kā sub.h ḳhumār hai aaj
ghar aa.e ho faqīroñ ke to aao baiTho lutf karo
kyā hai jaan bin apne kane so in qadmoñ pe nisār hai aaj
kyā pūchho ho sāñjh talak pahlū meñ kyā kyā taḌpā hai
kal kī nisbat dil ko hamāre baare kuchh to qarār hai aaj
ḳhuub jo āñkheñ khol ke dekhā shāḳh-e-gul sā nazar aayā
un rañgoñ phūloñ meñ milā kuchh mahv-e-jalva-e-yār hai aaj
jazb-e-ishq jidhar chāhe le jaa.e hai mahmil lailā kā
yaanī haath meñ majnūñ ke naaqe kī us ke mahār hai aaj
raat kā pahnā haar jo ab tak din ko utārā un ne nahīñ
shāyad 'mīr' jamāl-e-gul bhī us ke gale kā haar hai aaj