Meer Taqi Meer

dil baham pahuncha badan mein tab se sara tan jala

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dil baham pahuñchā badan meñ tab se saarā tan jalā
aa paḌī ye aisī chiñgārī ki pairāhan jalā
sarkashī hī hai jo dikhlātī hai is majlis meñ daaġh
ho sake to sham.a saañ diije rag-e-gardan jalā
badar saañ ab āḳhir āḳhir chhā ga.ī mujh par ye aag
varna pahle thā mirā juuñ maah nau dāman jalā
kab talak dhūnī lagā.e jogiyoñ kī sī rahūñ
baiThe baiThe dar pe tere to mirā aasan jalā
garmī us ātish ke par kaale se rakhe chashm tab
jab koī merī tarah se deve sab tan man jalā
ho jo minnat se to kyā vo shab nashīnī baaġh kī
kaaT apnī raat ko ḳhār-o-ḳhas-e-gulḳhan jalā
sūkhte hī āñsuoñ ke nuur āñkhoñ kā gayā
bujh hī jaate haiñ diye jis vaqt sab roġhan jalā
shola afshānī nahīñ ye kuchh na.ī is aah se
duuñ lagī hai aisī aisī bhī ki saarā ban jalā
aag sī ik dil meñ sulge hai kabhū bhaḌkī to 'mīr'
degī merī haDDiyoñ kā Dher juuñ īñdhan jalā
Top Urdushayar.com