Meer Taqi Meer

khowen hain nind meri musibat bayaniyan

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
khoveñ haiñ niiñd merī musībat bayāniyāñ
tum bhī to ek raat suno ye kahāniyāñ
kyā aag de ke taur ko kī tark sar-kashī
us sho.ale kī vahī haiñ sharārat kī bāniyāñ
sohbat rakhā kiyā vo safīna-o-zalāl se
dil hī meñ ḳhuuñ huā kiiñ mirī nukta-dāniyāñ
ham se to kiine hī kī adā.eñ chalī ga.iiñ
be-lutfiyāñ yahī yahī nā-meharbāniyāñ
talvār ke tale hī gayā ahd-e-imbisāt
mar mar ke ham ne kaaTī haiñ apnī javāniyāñ
gaalī sivā.e mujh se suḳhan mat kiyā karo
achchhī lage haiñ mujh ko tirī bad-zabāniyāñ
ġhairoñ hī ke suḳhan kī taraf gosh-e-yār the
is harf-e-nā-shino ne hamārī na māniyāñ
ye be-qarāriyāñ na kabhū in nai-dekhiyāñ
jāñ-kāhiyāñ hamārī bahut sahal jāniyāñ
maarā mujhe bhī saan ke ġhairoñ meñ un ne 'mīr'
kyā ḳhaak meñ milā.īñ mirī jāñ-fishāniyāñ
Top Urdushayar.com