ārzūeñ hazār rakhte haiñ
to bhī ham dil ko maar rakhte haiñ
barq kam-hausla hai ham bhī to
dil ko be-qarār rakhte haiñ
ġhair hī maurid-e-ināyat hai
ham bhī to tum se pyaar rakhte haiñ
na nigah ne payām ne vaada
naam ko ham bhī yaar rakhte haiñ
ham se ḳhush-zamzama kahāñ yuuñ to
lab o lahja hazār rakhte haiñ
choTTe dil ke haiñ butāñ mash.hūr
bas yahī e'tibār rakhte haiñ
phir bhī karte haiñ 'mīr' sāhab ishq
haiñ javāñ iḳhtiyār rakhte haiñ