Meer Taqi Meer

jaan-gudaz itni kahan aawaz-e-ud-o-chang hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jāñ-gudāz itnī kahāñ āvāz-e-ūd-o-chañg hai
dil ke se nāloñ kā un pardoñ meñ kuchh āhañg hai
rū-o-ḳhāl-o-zulf hī haiñ sumbul-o-sabza-o-gul
āñkheñ huuñ to ye chaman ā.īna-e-nairañg hai
be-sutūñ khode se kiyā āḳhir hue sab kār-e-ishq
ba.ad-azāñ ai kohkan sar hai tirā aur sañg hai
aah un ḳhush-qāmatoñ ko kyūñke bar meñ lā.iye
jin ke hāthoñ se qayāmat par bhī arsa-e-tañg hai
ishq meñ vo ghar hai apnā jis meñ se majnūñ ye ek
nā-ḳhalaf saare qabīle kā hamāre nañg hai
chashm-e-kam se dekh mat qumrī to us ḳhush-qad ko Tak
aah bhī sard gulistāñ shikast-e-rañg hai
ham se to jaayā nahīñ jaatā ki yaksar dil meñ vaañ
do-qadam us kī galī kī raah sau farsañg hai
ek bose par to kī hai sulh par ai zuud rañj
tujh ko mujh ko itnī itnī baat uupar jañg hai
paañv meñ choT aane ke pyāre bahāne jaane de
pesh-raft aage hamāre kab ye uzr lañg hai
fikr ko nāzuk ḳhayāloñ ke kahāñ pahuñche haiñ yaar
varna har misra.a yahāñ ma.ashūq shoḳh-o-shañg hai
sarsarī kuchh sun liyā phir vāh-vā kar uTh ga.e
sher ye kam-fahm samjhe haiñ ḳhayāl bañg hai
sabr bhī kariye balā par 'mīr'-sāhib jī kabhū
jab na tab ronā hī kuḌhnā ye bhī koī Dhañg hai
Top Urdushayar.com