Meer Taqi Meer

shaiKH ji aao musalla giro jam karo

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
shaiḳh jī aao musallā giro jaam karo
jins taqvā ke ta.iiñ sirf mai-e-ḳhām karo
farsh mastāñ karo sajjāda-e-be-tah ke ta.iiñ
mai kī tāzīm karo shīshe kā ikrām karo
dāman-e-pāk ko ālūda rakho baade se
aap ko muġhbachoñ ke qābil-e-dushnām karo
nek-nāmī-o-taqāvat ko duā jald kaho
dīn-o-dil pesh-kash sāda-e-ḳhud-kām karo
nañg-o-nāmūs se ab guzro javānoñ kī tarah
par fishānī karo aur saaqī se ibrām karo
ḳhuub agar jur.a -mai-nosh nahīñ kar sakte
ḳhātir-jam.a mai-āshām se ye kaam karo
uTh khaḌe ho jo jhuke gardan-e-mīnā-e-sharāb
ḳhidmat-e-bāda-gusārāñ hī sar-anjām karo
mutrib aa kar jo kare chañg-navāzī to tum
pairahan mastoñ kī taqlīd se in.aam karo
ḳhunkī itnī bhī to lāzim nahīñ is mausam meñ
paas josh-e-gul-o-dil garmī-e-ayyām karo
sāya-e-gul meñ lab-e-jū pe gulābī rakho
haath meñ jaam ko lo aap ko badnām karo
āh-e-tā-chand raho ḳhānaqah-o-masjid meñ
ek to sub.h-e-gulsitāñ meñ bhī shaam karo
raat to saarī ga.ī sunte pareshāñ-goī
'mīr'-jī koī ghaḌī tum bhī to ārām karo
Top Urdushayar.com