pusht-e-pā maarī bas-ki duniyā par
zaḳhm paḌ paḌ gayā mire pā par
Duube uchhle hai āftāb hanūz
kahīñ dekhā thā tujh ko dariyā par
giro mai huuñ aao shaiḳh shahr
abr jhūmā hī jaahe sahrā par
dil par ḳhuuñ to thā gulābī sharāb
jī hī apnā chalā na sahbā par
yaañ jahāñ meñ ki shahr-e-gorāñ hai
saat parde haiñ chashm-e-bīnā par
fursat-e-aish apnī yuuñ guzrī
ki musībat paḌī tamannā par
tārum-e-tāk se lahū Tapkā
sañg-bārāñ huā hai miinā par
'mīr' kyā baat us ke hoñToñ kī
jiinā dūbhar huā masīhā par