Meer Taqi Meer

raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish ka ye Dhab hai kya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
raftār-o-taur-o-tarz-o-ravish kā ye Dhab hai kyā
pahle sulūk aise hī tere the ab hai kyā
ham dil-zada na rakhte the tum se ye chashm-dāsht
karte ho qahr lutf kī jaagā ġhazab hai kyā
izzat bhī ba.ad zillat bisyār chheḌ hai
majlis meñ jab ḳhafīf kiyā phir adab hai kyā
aa.e ham aap meñ to na pahchāne phir ga.e
us rāh-e-sa.ab ishq meñ yaaro ta.ab hai kyā
hairāñ haiñ us dahan ke azīzān-e-ḳhurda-bīñ
ye bhī maqām haa.e ta.ammul talab hai kyā
āñkheñ jo hoveñ terī to tū ain kar rakhe
aalam tamām gar vo nahīñ to ye sab hai kyā
us āftāb bin nahīñ kuchh sūjhtā hameñ
gar ye hī apne din haiñ to tārīk shab hai kyā
tum ne hamesha jaur-o-sitam be-sabab kiye
apnā hī zarf thā jo na pūchhā sabab hai kyā
kyūñkar tumhārī baat kare koī e.atibār
zāhir meñ kyā kaho ho suḳhan zer-e-lab hai kyā
us mah baġhair 'mīr' kā marnā ajab huā
har-chand marg-e-āshiq miskīñ ajab hai kyā
Top Urdushayar.com