kahīñ pahuñcho bhī mujh be-pā-o-sar tak
ki pahuñchā sham.a-sāñ daaġh ab jigar tak
kuchh apnī aañkh meñ yaañ kā na aayā
ḳhazaf se le ke dekhā dar-e-tar tak
jise shab aag sā dekhā sulagte
use phir ḳhaak hī paayā sahar tak
tirā muñh chāñd sā dekhā hai shāyad
ki anjum rahte haiñ har shab idhar tak
jab aayā aah tab apne hī sar par
gayā ye haath kab us kī kamar tak
ham āvāzoñ ko sair ab kī mubārak
par-o-bāl apne bhī aise the par tak
khiñchī kyā kyā ḳharābī zer-e-dīvār
vale aayā na vo Tak ghar se dar tak
galī tak terī laayā thā hameñ shauq
kahāñ tāqat ki ab phir jaa.eñ ghar tak
yahī dard-e-judā.ī hai jo is shab
to aatā hai jigar mizhgān-e-tar tak
dikhā.ī deñge ham mayyat ke rañgoñ
agar rah jā.eñge jiite sahar tak
kahāñ phir shor shevan jab gayā 'mīr'
ye hañgāma hai is hī nauhagar tak