gilā nahīñ hai hameñ apnī jāñ-gudāzī kā
jigar pe zaḳhm hai us kī zabāñ-darāzī kā
samand-e-nāz ne us ke jahāñ kiyā pāmāl
vahī hai ab bhī use shauq tark taazī kā
sitam haiñ qahr haiñ lauñDe sharāb-ḳhāne ke
utaar lete haiñ amāma har namāzī kā
ulaT-palaT mirī āh-e-sahar kī kyā hai kam
agar ḳhayāl tumheñ hove neza-bāzī kā
batāo ham se koī aan tum se kyā bigḌī
nahīñ hai tum ko salīqa zamāna-sāzī kā
ḳhudā ko kaam to sauñpe haiñ maiñ ne sab lekin
rahe hai ḳhauf mujhe vaañ kī be-niyāzī kā
chalo ho rāh-e-muāfiq kahe muḳhālif ke
tarīq chhoḌ diyā tum ne dil-navāzī kā
kaso kī baat ne aage mire na paayā rañg
diloñ meñ naqsh hai merī suḳhan-tarāzī kā
basān-e-ḳhāk ho pāmāl rāh-e-ḳhalq ai 'mīr'
rakhe hai dil meñ agar qasd sarfarāzī kā