Meer Taqi Meer

husul kaam ka dil-KHwah yan hua bhi hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
husūl kaam kā dil-ḳhvāh yaañ huā bhī hai
samājat itnī bhī sab se koī ḳhudā bhī hai
muue hī jaate haiñ ham dard-e-ishq se yaaro
kaso ke paas is āzār kī davā bhī hai
udāsiyāñ thiiñ mirī ḳhānqa meñ qābil-e-sair
sanam-kade meñ to Tik aa ke dil lagā bhī hai
ye kahiye kyūñke ki ḳhūbāñ se kuchh nahīñ matlab
lage jo phirte haiñ ham kuchh to mudda.ā bhī hai
tirā hai vahm ki maiñ apne pairahan meñ huuñ
nigāh ġhaur se kar mujh meñ kuchh rahā bhī hai
jo kholūñ sīna-e-majrūh to namak chhiḌke
jarāhat us ko dikhāne kā kuchh maza bhī hai
kahāñ talak shab-o-roz āh-e-dard-e-dil kahiye
har ek baat ko āḳhir kuchh intihā bhī hai
havas to dil meñ hamāre jagah kare lekin
kahīñ hujūm se andoh-e-ġham ke jā bhī hai
ġham-e-firāq hai dumbāla-e-gard aish-e-visāl
faqat maza hī nahīñ ishq meñ balā bhī hai
qubūl kariye tirī rah meñ jī ko kho denā
jo kuchh bhī pā.iye tujh ko to āshnā bhī hai
jigar meñ sozan-e-mizhgāñ ke tiiñ kaDhab na gaḌo
kaso ke zaḳhm ko tū ne kabhū siyā bhī hai
guzār shahr-e-vafā meñ samajh ke kar majnūñ
ki is dayār meñ 'mīr' shikasta-pā bhī hai
Top Urdushayar.com