aao kabhū to paas hamāre bhī naaz se
karnā sulūk ḳhuub hai ahl-e-niyāz se
phirte ho kyā daraḳhtoñ ke saa.e meñ duur duur
kar lo muvāfaqat kisū be-barg-o-sāz se
hijrāñ meñ us ke zindagī karnā bhalā na thā
kotāhī jo na hove ye umr-e-darāz se
mānind-e-sub.ha uqde na dil ke kabhū khule
jī apnā kyuuñ ki uchTe na roze namāz se
kartā hai chhed chhed hamārā jigar tamām
vo dekhnā tirā mizha-e-nīm-bāz se
dil par ho iḳhtiyār to hargiz na kariye ishq
parhez kariye is maraz-e-jāñ-gudāz se
aage bichhā ke natā ko laate the teġh o tasht
karte the yaanī ḳhuun to ik imtiyāz se
maane hoñ kyuuñ ki girya-e-ḳhūnīñ ke ishq meñ
hai rabt-e-ḳhās chashm ko ifshā-e-rāz se
shāyad sharāb-ḳhāne meñ shab ko rahe the 'mīr'
khele thā ek muġhbacha mohr-e-namāz se