Meer Taqi Meer

agar rah mein uski rakha hai gam

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
agar raah meñ us kī rakhā hai gaam
ga.e guzre ḳhizar alaihis-salām
dahan yaar kā dekh chup lag ga.ī
suḳhan yaañ huā ḳhatm hāsil-kalām
mujhe dekh muñh par pareshāñ kī zulf
ġharaz ye ki jā tū huī ab to shaam
sar-e-shām se rahtī haiñ kāhisheñ
hameñ shauq us maah kā hai tamām
qayāmat hī yaañ chashm-o-dil se rahī
chale bas to vaañ jā ke kariye qayām
na dekhe jahāñ koī āñkhoñ kī aur
na leve koī jis jagah dil kā naam
jahāñ 'mīr' zer-o-zabar ho gayā
ḳhirāmāñ huā thā vo mahshar-ḳhirām
Top Urdushayar.com