duzdīda nigah karnā phir aañkh milānā bhī
is lauTte dāman ko paas aa ke uThānā bhī
pāmālī-e-āshiq ko manzūr rakhe jaanā
phir chaal kaDhab chalnā Thokar na lagānā bhī
burqā ko uThā denā par aadhe hī chehre se
kyā muñh ko chhupānā bhī kuchh jhamkī dikhānā bhī
dekh āñkheñ mirī nīchī ik mārnā patthar bhī
zāhir meñ satānā bhī parde meñ jatānā bhī
sohbat hai ye vaisī hī ai jaan kī āsā.ish
saath aan ke sonā bhī phir muñh ko chhupānā bhī