dil kī taraf kuchh aah se dil kā lagāo hai
Tak aap bhī to aa.iye yaañ zor baav hai
uThtā nahīñ hai haath tirā teġh-e-jaur se
nāhaq kushī kahāñ ta.iiñ ye kyā subhāv hai
bāġh-e-nazar hai chashm ke manzar kā sab jahāñ
Tak Thahro yaañ to jaano ki kaisā dikhāo hai
taqrīb ham ne Daalī hai us se juue kī ab
jo ban paḌe hai Tak to hamārā hī daav hai
Tapkā kare hai aañkh se lohū hī roz-o-shab
chehre pe mere chashm hai yā koī ghaav hai
zabt sarishk-e-ḳhūnīñ se jī kyūñke shaad ho
ab dil kī taraf lohū kā saarā bahāo hai
ab sab ke rozgār kī sūrat bigaḌ ga.ī
lākhoñ meñ ek do kā kahīñ kuchh banāo hai
chhātī ke merī saare numūdār haiñ ye zaḳhm
parda rahā hai kaun sā ab kyā chhupāo hai
āshiq kaheñ jo hoge to jānoge qadr-e-'mīr'
ab to kisī ke chāhne kā tum ko chaav hai