Meer Taqi Meer

aae hain mir kafir ho kar KHuda ke ghar mein

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aa.e haiñ 'mīr' kāfir ho kar ḳhudā ke ghar meñ
peshānī par hai qashqa zunnār hai kamar meñ
nāzuk badan hai kitnā vo shoḳh-chashm dilbar
jaan us ke tan ke aage aatī nahīñ nazar meñ
siine meñ tiir us ke TuuTe haiñ be-nihāyat
surāḳh paḌ ga.e haiñ saare mire jigar meñ
ā.inda shaam ko ham royā kuḌhā kareñge
mutlaq asar na dekhā nālīdan-e-sahar meñ
be-sudh paḌā rahūñ huuñ us mast-e-nāz bin maiñ
aatā hai hosh mujh ko ab to pahr pahr meñ
sīrat se guftugū hai kyā mo'tabar hai sūrat
hai ek sūkhī lakḌī jo bū na ho agar meñ
ham-sāya-e-muġhāñ meñ muddat se huuñ chunāñche
ik shīra-ḳhāne kī hai dīvār mere ghar meñ
ab sub.h o shaam shāyad girye pe rañg aave
rahtā hai kuchh jhamaktā ḳhūnāb chashm-e-tar meñ
aalam meñ āb-o-gil ke kyūñkar nibāh hogā
asbāb gir paḌā hai saarā mirā safar meñ
Top Urdushayar.com