Meer Taqi Meer

kya muafiq ho dawa ishq ke bimar ke sath

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā muāfiq ho davā ishq ke bīmār ke saath
jī hī jaate nazar aa.e haiñ is āzār ke saath
raat majlis meñ tirī ham bhī khaḌe the chupke
jaise tasvīr lagā de koī dīvār ke saath
mar ga.e par bhī khulī rah ga.iiñ āñkheñ apnī
kaun is tarah muā hasrat-e-dīdār ke saath
shauq kā kaam khiñchā duur ki ab mehr misāl
chashm-e-mushtāq lagī jaa.e hai tūmār ke saath
raah us shoḳh kī āshiq se nahīñ ruk saktī
jaan jaatī hai chalī ḳhūbi-e-raftār ke saath
ve din ab sālte haiñ rātoñ ko barsoñ guzre
jin dinoñ der rahā karte the ham yaar ke saath
zikr-e-gul kyā hai sabā ab ki ḳhizāñ meñ ham ne
dil ko nā-chār lagāyā hai ḳhas o ḳhaar ke saath
kis ko har dam hai lahū rone kā hijrāñ meñ dimāġh
dil ko ik rabt sā hai dīda-e-ḳhūñ-bār ke saath
merī us shoḳh se sohbat hai be-ainihī vaisī
jaise ban jaa.e kisū saade ko ayyār ke saath
dekhiye kis ko shahādat se sar-afrāz kareñ
laag to sab ko hai us shoḳh kī talvār ke saath
bekalī us kī na zāhir thī jo tū ai bulbul
dam-kash-e-'mīr' huī us lab o guftār ke saath
Top Urdushayar.com