Meer Taqi Meer

hoti hai garche kahne se yaro parai baat

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
hotī hai garche kahne se yaaro parā.ī baat
par ham se to thambe na kabhū muñh par aa.ī baat
jaane na tujh ko jo ye tasanño tū us se kar
tis par bhī to chhupī nahīñ rahtī banā.ī baat
lag kar tadrau rah ga.e dīvār-e-bāġh se
raftār kī jo terī sabā ne chalā.ī baat
kahte the us se miliye to kyā kyā na kahiye lek
vo aa gayā to sāmne us ke na aa.ī baat
ab to hue haiñ ham bhī tire Dhab se āshnā
vaañ tū ne kuchh kahā ki idhar ham ne paa.ī baat
bulbul ke bolne meñ sab andāz haiñ mire
poshīda kab rahe hai kisū kī uḌaa.ī baat
bhaḌkā thā raat dekh ke vo sho.ala-ḳhū mujhe
kuchh rū-siyah raqīb ne shāyad lagā.ī baat
aalam siyāh-ḳhāna hai kis kā ki roz-o-shab
ye shor hai ki detī nahīñ kuchh sunā.ī baat
ik din kahā thā ye ki ḳhamoshī meñ hai vaqār
so mujh se hī suḳhan nahīñ maiñ jo batā.ī baat
ab mujh za.īf-o-zār ko mat kuchh kahā karo
jaatī nahīñ hai mujh se kisū kī uThā.ī baat
ḳhat likhte likhte 'mīr' ne daftar kiye ravāñ
ifrāt-e-ishtiyāq ne āḳhir baḌhā.ī baat
Top Urdushayar.com