tañg aa.e haiñ dil us jī se uThā baiTheñge
bhūkoñ marte haiñ kuchh ab yaar bhī khā baiTheñge
ab ke bigḌegī agar un se to is shahr se jā
kaso vīrāne meñ takiya hī banā baiTheñge
ma.arka garm to Tak hone do ḳhūñ-rezī kā
pahle talvār ke nīche hamīñ jā baiTheñge
hogā aisā bhī koī roz ki majlis se kabhū
ham to ek-ādh ghaḌī uTh ke judā baiTheñge
jā na iz.hār-e-mohabbat pe havasnākoñ kī
vaqt ke vaqt ye sab muñh ko chhupā baiTheñge
dekheñ vo ġhairat-e-ḳhurshīd kahāñ jaatā hai
ab sar-e-rāh dam-e-sub.h se aa baiTheñge
bhiiḌ Taltī hī nahīñ aage se us zālim ke
gardaneñ yaar kisī roz kaTā baiTheñge
kab talak galiyoñ meñ saudā.ī se phirte rahiye
dil ko us zulf-e-musalsal se lagā baiTheñge
sho.ala-afshāñ agar aisī hī rahī aah to 'mīr'
ghar ko ham apne kaso raat jalā baiTheñge