Meer Taqi Meer

manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
mānind-e-shama.a-majlis shab ashk-bār paayā
al-qissa 'mīr' ko ham be-iḳhtiyār paayā
ahvāl ḳhush unhoñ kā ham-bazm haiñ jo tere
afsos hai ki ham ne vaañ kā na baar paayā
jiite jo zof ho kar zaḳhm-e-rasā se us ke
siine ko chaak dekhā dil ko figār paayā
shahr-e-dil ek muddat ujḌā basā ġhamoñ meñ
āḳhir ujaaḌ denā us kā qarār paayā
itnā na tujh se milte ne dil ko kho ke rote
jaisā kiyā thā ham ne vaisā hī yaar paayā
kyā e'tibār yaañ kā phir us ko ḳhvār dekhā
jis ne jahāñ meñ aa kar kuchh e'tibār paayā
aahoñ ke shole jis jā uThte the 'mīr' se shab
vaañ jā ke sub.h dekhā musht-e-ġhubār paayā
Top Urdushayar.com