kab se nazar lagī thī darvāza-e-haram se
parda uThā to laḌiyāñ āñkheñ hamārī ham se
sūrat-gar-e-ajal kā kyā haath thā kahe to
khīñchī vo teġh-e-abrū faulād ke qalam se
sozish ga.ī na dil kī rone se roz-o-shab ke
jaltā huuñ aur dariyā bahte haiñ chashm-e-nam se
taa.at kā vaqt guzrā mastī meñ aab raz kī
ab chashm-dāsht us ke yaañ hai faqat karam se
kuḌhiye na roiye to auqāt kyūñke guzre
rahtā hai mashġhala sā bār-e-ġham-o-alam se
mash.hūr hai samājat merī ki teġh barsī
par maiñ na sar uThāyā hargiz tire qadam se
baat ehtiyāt se kar zaa.e.a na kar nafas ko
bālīdgī-e-dil hai mānind-e-shīsha dam se
kyā kyā ta.ab uThā.e kyā kyā azaab dekhe
tab dil huā hai utnā ḳhūgar tire sitam se
hastī meñ ham ne aa kar āsūdgī na dekhī
khultīñ na kaash āñkheñ ḳhvāb ḳhush adam se
pāmāl kar ke ham ko pachhtāoge bahut tum
kamyāb haiñ jahāñ meñ sar dene vaale ham se
dil do ho 'mīr' sāhab us bad-ma.āsh ko tum
ḳhātir to jam.a kar lo Tak qaul se qasam se