joshish-e-ashk se huuñ aaTh pahr paanī meñ
garche hote haiñ bahut ḳhauf-o-ḳhatar paanī meñ
zabt-e-girya ne jalāyā hai darūna saarā
dil achambhā hai ki hai soḳhta-tar paanī meñ
āb-e-shamshīr-e-qayāmat hai burinda us kī
ye gavārā.ī nahīñ paate haiñ har paanī meñ
tab-e-dariyā jo ho āshufta to phir tūfāñ hai
aah bāloñ ko parāganda na kar paanī meñ
ġharq āb-e-ashk se huuñ lek uḌā jaatā huuñ
juuñ samak go ki mire Duube haiñ par paanī meñ
mardum-e-dīda-e-tar mardum-e-ābī haiñ magar
rahte haiñ roz o shab o shām-o-sahar paanī meñ
hai.at āñkhoñ kī nahīñ vo rahī rote rote
ab to girdāb se aate haiñ nazar paanī meñ
girya-e-shab se bahut aañkh Dare hai merī
paañv rukte hī nahīñ bār-e-digar paanī meñ
fart-e-girya se huā 'mīr' tabāh apnā jahāz
taḳhta paare ga.e kyā jānūñ kidhar paanī meñ