paiġhām ġham-e-jigar kā gulzār tak na pahuñchā
naala mirā chaman kī dīvār tak na pahuñchā
us ā.īne ke mānind zañgār jis ko khāve
kaam apnā us ke ġham meñ dīdār tak na pahuñchā
joñ naqsh-e-pā hai ġhurbat hairān-kār us kī
āvāra ho vatan se jo yaar tak na pahuñchā
labrez shikva the ham lekin huzūr tere
kār-e-shikāyat apnā guftār tak na pahuñchā
le chashm-e-nam-rasīdd paanī chuvāne koī
vaqt-e-aḳhīr us ke bīmār tak na pahuñchā
ye baḳhte--sabz dekho bāġh-e-zamāna meñ se
pazhmurda gul bhī apnī dastār tak na pahuñchā
mastūrī ḳhūb-rūī donoñ na jam.a hoveñ
ḳhūbī kā kaam kis kī iz.hār tak na pahuñchā
yūsuf se le ke tā-gul phir gul se le ke tā-shamma
ye husn kis ko le kar bāzār tak na pahuñchā
afsos 'mīr' ve jo hone shahīd aa.e
phir kaam un kā us kī talvār tak na pahuñchā