jafā.eñ dekh liyāñ bevafā.iyāñ dekhīñ
bhalā huā ki tirī sab burā.iyāñ dekhīñ
tirī galī se sadā ai kashanda-e-ālam
hazāroñ aatī huī chārpā.iyāñ dekhīñ
gayā nazar se jo vo garm tifl-e-ātish-bāz
ham apne chehre pe uḌtī havā.iyāñ dekhīñ
tire visāl ke ham shauq meñ hoñ āvāra
aziiz dost sabhoñ kī judā.iyāñ dekhīñ
hamesha mā.il-e-ā.īna hī tujhe paayā
jo dekhīñ ham ne yahī ḳhud-numā.īyāñ dekhīñ
shahāñ ki kohl-e-javāhar thī ḳhāk-e-pā jin kī
unhīñ kī āñkhoñ meñ phirte salā.iyāñ dekhīñ
banī na apnī to us jañg-jū se hargiz 'mīr'
laḌā.īñ jab se ham āñkheñ laḌā.iyāñ dekhīñ