tiir jo us kamān se niklā
jigar murġh-e-jān se niklā
niklī thī teġh be-dareġh us kī
maiñ hī ik imtihān se niklā
go kaTe sar ki soz-e-dil joñ sham.a
ab to merī zabān se niklā
aage ai naala hai ḳhudā kā naañv
bas to na āsmān se niklā
chashm-o-dil se jo niklā hijrāñ meñ
na kabhū bahr-o-kān se niklā
mar gayā jo asīr-e-qaid-e-hayāt
tañgnā-e-jahān se niklā
dil se mat jā ki haif us kā vaqt
jo koī us makān se niklā
us kī shīrīñ-labī kī hasrat meñ
shahd paanī ho shaan se niklā
nā-murādī kī rasm 'mīr' se hai
taur ye is javān se niklā