naale kā aaj dil se phir lab talak guzar hai
Tak gosh rakhiyo īdhar saath us ke kuchh ḳhabar hai
ai hubb-e-jāh vaalo jo aaj tājvar hai
kal us ko dekhiyo tum ne taaj hai na sar hai
ab kī havā-e-gul meñ sairābī hai nihāyat
jū-e-chaman pe sabza mizhgān-e-chashm-e-tar hai
ai ham-safīr-e-be-gul kis ko dimāġh-e-nāla
muddat huī hamārī minqār-e-zer par hai
sham-e-aḳhīr-e-shab huuñ san sar-guzasht merī
phir sub.h hote tak to qissa hī muḳhtasar hai
ab rahm par usī ke mauqūf hai ki yaañ to
nai ashk meñ sarāyat nai aah meñ asar hai
tū hī zamām apnī naake tuḌā ki majnūñ
muddat se naqsh-e-pā ke mānind raah par hai
ham mast-e-ishq vaa.iz be-hech bhī nahīñ haiñ
ġhāfil jo be-ḳhabar haiñ kuchh un ko bhī ḳhabar hai
ab phir hamārā is kā mahshar meñ mājrā hai
dekheñ to us jagah kyā insāf dād-gar hai
āfat-rasīda ham kyā sar khīñcheñ us chaman meñ
joñ naḳhl-e-ḳhushk ham ko nai saaya nai samar hai
kar 'mīr' us zamīñ meñ aur ik ġhazal to mauzūñ
hai harf-zan qalam bhī ab tab.a bhī idhar hai