jhumke dikhā ke tuur ko jin ne jalā diyā
aa.ī qayāmat un ne jo parda uThā diyā
us fitne ko jagā ke pashemāñ huī nasīm
kyā kyā aziiz logoñ ko un ne sulā diyā
ab bhī dimāġh-e-rafta hamārā hai arsh par
go āsmāñ ne ḳhaak meñ ham ko milā diyā
jaanī na qadar us guhar shab charāġh kī
dil reza-e-ḳhazaf kī tarah maiñ uThā diyā
taqsīr jaan dene meñ ham ne kabhū na kī
jab teġh vo buland huī sar jhukā diyā
garmī charāġh kī sī nahīñ vo mizāj meñ
ab dil fasurdagī se huuñ jaise bujhā diyā
vo aag ho rahā hai ḳhudā jaane ġhair ne
merī taraf se us ke ta.iiñ kyā lagā diyā
itnā kahā thā farsh tirī rah ke ham hoñ kaash
so tū ne maar maar ke aa kar bichhā diyā
ab ghaTte ghaTte jaan meñ tāqat nahīñ rahī
Tak lag chalī sabā ki diyā sā baḌhā diyā
tañgī lagā hai karne dam apnā bhī har ghaḌī
kuḌhne ne dil ke jī ko hamāre khapā diyā
kī chashm tū ne baaz ki kholā dar-e-sitam
kis mudda.ī ḳhalq ne tujh ko jagā diyā
kyā kyā ziyān 'mīr' ne khīñche haiñ ishq meñ
dil haath se diyā hai judā sar judā diyā