kalī kahte haiñ us kā sā dahan hai
sunā kariye ki ye bhī ik suḳhan hai
Tapakte dard haiñ aañsū kī jaagā
ilāhī chashm yā zaḳhm-e-kuhan hai
ḳhabar le pīr-e-kan.āñ kī ki kuchh aaj
nipaT āvāra bū-e-pairahan hai
nahīñ dāman meñ laala be-sutūñ ke
koī dil-e-dāġh ḳhūn-e-kohkan hai
shahādat-gāh hai bāġh-e-zamāna
ki har gul us meñ ik ḳhūnīñ-kafan hai
karūñ kyā hasrat-e-gul ko vagarna
dil par daaġh bhī apnā chaman hai
jo de ārām Tak āvārgī 'mīr'
to shām-e-ġhurbat ik sub.h-e-vatan hai