Meer Taqi Meer

baghair dil ki ye qimat hai sare aalam ki

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
baġhair dil ki ye qīmat hai saare aalam kī
kaso se kaam nahīñ rakhtī jins aadam kī
koī ho mahram shoḳhī tirā to meñ pūchhūñ
ki bazm-e-aish jahāñ kyā samajh ke barham kī
hameñ to baaġh kī taklīf se muaaf rakho
ki sair-o-gasht nahīñ rasm ahl-e-mātam kī
tanik to lutf se kuchh kah ki jāñ-ba-lab huuñ maiñ
rahī hai baat mirī jaan ab koī dam kī
guzarne ko to kāj-o-vākaj apnī guzre hai
jafā jo un ne bahut kī to kuchh vafā kam kī
ghire haiñ dard-o-alam meñ firāq ke aise
ki sub.h-e-īd bhī yaañ shaam hai mahram kī
qafas meñ 'mīr' nahīñ josh daaġh siine par
havas nikālī hai ham ne bhī gul ke mausam kī
Top Urdushayar.com