Meer Taqi Meer

aage jamal-e-yar ke mazur ho gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aage jamāl-e-yār ke ma.azūr ho gayā
gul ik chaman meñ dīda-e-be-nūr ho gayā
ik chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se raah
joñ zaḳhm terī duurī meñ nāsūr ho gayā
qismat to dekh shaiḳh ko jab lahar aa.ī tab
darvāza shīra ḳhāne kā ma.amūr ho gayā
pahuñchā qarīb marg ke vo said-e-nā-qubūl
jo terī said-e-gāh se Tak duur ho gayā
dekhā ye nāv-nosh ki nīsh-e-firāq se
siina tamām ḳhāna-e-zambūr ho gayā
is māh-e-chārdah kā chhape ishq kyūñke aah
ab to tamām shahr meñ mash.hūr ho gayā
shāyad kaso ke dil ko lagī us galī meñ choT
merī baġhal meñ shīsha-e-dil chuur ho gayā
lāsha mirā tasallī na zer-e-zamīñ huā
jab tak na aan kar vo sar-e-gor ho gayā
dekhā jo maiñ ne yaar to vo 'mīr' hī nahīñ
tere ġham-e-firāq meñ ranjūr ho gayā
Top Urdushayar.com