dahr bhī 'mīr' turfa-e-maqtal hai
jo hai so koī dam ko faisal hai
kasrat-e-ġham se dil lagā rukne
hazrat-e-dil meñ aaj dañggal hai
roz kahte haiñ chalne ko ḳhūbāñ
lekin ab tak to roz-e-avval hai
chhoḌ mat naqd vaqt-e-nasiya par
aaj jo kuchh hai so kahāñ kal hai
band ho tujh se ye khulā na kabhū
dil hai yā ḳhāna-e-muqaffal hai
sīna-chākī bhī kaam rakhtī hai
yahī kar jab talak mo.attal hai
ab ke hāthoñ meñ shauq ke tere
dāman-e-bādiya kā āñchal hai
Tak garebāñ meñ sar ko Daal ke dekh
dil bhī kyā laq-o-daq jañgal hai
hijr baa.is hai bad-gumānī kā
ġhairat-e-ishq hai to kab kal hai
mar gayā kohkan isī ġham meñ
aañkh ojhal pahāḌ ojhal hai