Meer Taqi Meer

garmi se main to aatish-e-gham ki pighal gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
garmī se maiñ to ātish-e-ġham kī pighal gayā
rātoñ ko rote rote hī joñ sham-e-gul gayā
ham ḳhasta-dil haiñ tujh se bhī nāzuk-mizāj-tar
tevrī chaḌhā.ī tū ne ki yaañ jī nikal gayā
garmi-e-ishq maane nashv-o-numā huī
maiñ vo nihāl thā ki ugā aur jal gayā
mastī meñ chhoḌ dair ko ka.abe chalā thā maiñ
laġhzish baḌī huī thī va-lekin sambhal gayā
saaqī nashe meñ tujh se luñDhā shīsha-e-sharāb
chal ab ki duḳht-e-tāk kā joban to Dhal gayā
har zarra ḳhaak terī galī kī hai be-qarār
yaañ kaun sā sitam-zada maaTī meñ rul gayā
uryāñ tanī kī shoḳhī se dīvāngī meñ 'mīr'
majnūñ ke dasht-e-ḳhār kā dāmāñ bhī chal gayā
Top Urdushayar.com