bū ki ho sū-e-bāġh nikle hai
baav se ik dimāġh nikle hai
hai jo andher shahr meñ ḳhurshīd
din ko le kar charāġh nikle hai
chob-kārī hī se rahegā shaiḳh
ab to le kar chumāġh nikle hai
de hai jumbish jo vaañ kī ḳhaak ko baav
jigar daaġh daaġh nikle hai
har sahar hādisa mirī ḳhātir
bhar ke ḳhuuñ kā ayāġh nikle hai
us galī kī zamīn-e-tafta se
dil-jaloñ kā surāġh nikle hai
shāyad us zulf se lagī hai 'mīr'
baav meñ ik dimāġh nikle hai