Meer Taqi Meer

din nahin raat nahin subh nahin sham nahin

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
din nahīñ raat nahīñ sub.h nahīñ shaam nahīñ
vaqt milne kā magar dāḳhil-e-ayyām nahīñ
misl anqā mujhe tum duur se sun lo varna
nañg-e-hastī huuñ mirī jaa.e ba-juz naam nahīñ
ḳhatar rāh-e-vafā balki bahut duur khiñchā
umr guzrī ki baham nāma-o-paiġhām nahīñ
rāz-poshī-e-mohabbat ke ta.iiñ chāhiye zabt
so to be-tābī-e-dil bin mujhe ārām nahīñ
be-qarārī jo koī dekhe hai so kahtā hai
kuchh to hai 'mīr' ki ik dam tujhe ārām nahīñ
Top Urdushayar.com