Meer Taqi Meer

kya kahun tum se main ki kya hai ishq

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā kahūñ tum se maiñ ki kyā hai ishq
jaan kā rog hai balā hai ishq
ishq hī ishq hai jahāñ dekho
saare aalam meñ bhar rahā hai ishq
ishq hai tarz o taur ishq ke ta.iiñ
kahīñ banda kahīñ ḳhudā hai ishq
ishq ma.ashūq ishq āshiq hai
ya.anī apnā hī mubtalā hai ishq
gar parastish ḳhudā kī sābit kī
kisū sūrat meñ ho bhalā hai ishq
dilkash aisā kahāñ hai dushman-e-jāñ
mudda.ī hai pa mudda.ā hai ishq
hai hamāre bhī taur kā āshiq
jis kisī ko kahīñ huā hai ishq
koī ḳhvāhāñ nahīñ mohabbat kā
tū kahe jins-e-nā-ravā hai ishq
'mīr'-jī zard hote jaate ho
kyā kahīñ tum ne bhī kiyā hai ishq
Top Urdushayar.com