Meer Taqi Meer

rahi na-gufta mere dil mein dastan meri

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
rahī na-gufta mire dil meñ dāstāñ merī
na us dayār meñ samjhā koī zabāñ merī
ba-rañg-e-saut-e-jaras tujh se duur huuñ tanhā
ḳhabar nahīñ hai tujhe aah kārvāñ merī
tire na aaj ke aane meñ sub.h ke mujh paas
hazār jaa.e ga.ī tab-e-bad-gumāñ merī
vo naqsh-e-pai huuñ maiñ miT gayā ho jo rah meñ
na kuchh ḳhabar hai na sudh haigī rah-ravāñ merī
shab us ke kūche meñ jaatā huuñ is tavaqqo.a par
ki ek dost hai vaañ ḳhvāb pāsbāñ merī
usī se duur rahā asal mudda.ā jo thā
ga.ī ye umr-e-azīz aah rā.egāñ merī
tire firāq meñ jaise ḳhayāl muflis kā
ga.ī hai fikr-e-pareshāñ kahāñ kahāñ merī
nahīñ hai tāb-o-tavāñ kī judā.ī kā andoh
ki nā-tavānī bahut hai mizāj-dāñ merī
rahā maiñ dar-e-pas-e-dīvār-e-bāġh muddat lek
ga.ī guloñ ke na kānoñ talak fuġhāñ merī
huā huuñ girya-e-ḳhūnīñ kā jab se dāman-gīr
na āstīn huī paak dostāñ merī
diyā dikhā.ī mujhe to isī kā jalva 'mīr'
paḌī jahān meñ jā kar nazar jahāñ merī
Top Urdushayar.com