ḳhanjar-ba-kaf vo jab se saffāk ho gayā hai
mulk in sitam-zadoñ kā sab paak ho gayā hai
jis se use lagā.ūñ rūkhā hī ho mile hai
siine meñ jal kar az-bas dil ḳhaak ho gayā hai
kyā jānoñ lazzat-e-dard us kī jarāhatoñ kī
ye jānoñ huuñ ki siina sab chaak ho gayā hai
sohbat se is jahāñ kī koī ḳhalās hogā
is fāhisha pe sab ko imsāk ho gayā hai
dīvār kohna hai ye mat baiTh us ke saa.e
uTh chal ki āsmāñ to kā vaak ho gayā hai
sharm-o-hayā kahāñ kī har baat par hai shamshīr
ab to bahut vo ham se bebāk ho gayā hai
har harf bas-ki royā hai haal par hamāre
qāsid ke haath meñ ḳhat namnāk ho gayā hai
zer-e-falak bhalā to rove hai aap ko 'mīr'
kis kis tarah kā aalam yaañ ḳhaak ho gayā hai