Meer Taqi Meer

mahr ki tujhse tawaqqoa thi sitamgar nikla

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
mahr kī tujh se tavaqqo.a thī sitamgar niklā
mom samjhe the tire dil ko so patthar niklā
daaġh huuñ rashk-e-mohabbat se ki itnā betāb
kis kī taskīñ ke liye ghar se tū bāhar niklā
jiite jī aah tire kūche se koī na phirā
jo sitam-dīda rahā jā ke so mar kar niklā
dil kī ābādī kī is had hai ḳharābī ki na pūchh
jaanā jaatā hai ki us raah se lashkar niklā
ashk-e-tar qatra-e-ḳhūñ laḳht-e-jigar pārā-e-dil
ek se ek adad aañkh se bah kar niklā
kunj-kāvī jo kī siine kī ġham-e-hijrāñ ne
is dafīne meñ se aqsām-e-javāhar niklā
ham ne jaanā thā likhegā tū koī harf ai 'mīr'
par tirā naama to ik shauq kā daftar niklā
Top Urdushayar.com