sher ke parde meñ maiñ ne ġham sunāyā hai bahut
marsiye ne dil ke mere bhī rulāyā hai bahut
be-sabab aatā nahīñ ab dam-ba-dam āshiq ko ġhash
dard khīñchā hai nihāyat ranj uThāyā hai bahut
vaadī o kohsār meñ rotā huuñ DāḌheñ maar maar
dilbarān-e-shahr ne mujh ko satāyā hai bahut
vā nahīñ hotā kisū se dil girafta ishq kā
zāhiran ġhamgīñ use rahnā ḳhush aayā hai bahut
'mīr' gum-gashta kā milnā ittifāqī amr hai
jab kabhū paayā hai ḳhvāhish-mand paayā hai bahut