Meer Taqi Meer

dard-o-andoh mein Thahra jo raha main hi hun

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dard-o-andoh meñ Thahrā jo rahā maiñ hī huuñ
rañg-rū jis ke kabhū muñh na chaḌhā maiñ hī huuñ
jis pe karte ho sadā jaur-o-jafā maiñ hī huuñ
phir bhī jis ko hai gumāñ tum se vafā meñ hī huuñ
bad kahā maiñ ne raqīboñ ko to taqsīr huī
kyuuñ hai baḳhsho bhī bhalā sab meñ burā maiñ hī huuñ
apne kūche meñ fuġhāñ jis kī suno ho har raat
vo jigar-e-soḳhta o sīna-jalā maiñ hī huuñ
ḳhaar ko jin ne laḌī motī kī kar dikhlāyā
us bayābān meñ vo ābla-pā maiñ hī huuñ
lutf aane kā hai kyā bas nahīñ ab tāb-e-jafā
itnā aalam hai bharā jaao na kyā maiñ hī huuñ
ruk ke jī ek jahāñ dūsre aalam ko gayā
tan-e-tanhā na tire ġham meñ huā maiñ hī huuñ
is adā ko to Tak ik sair kar insāf karo
vo burā haigā bhalā dosto yā maiñ hī huuñ
maiñ ye kahtā thā ki dil jan ne liyā kaun hai vo
yak-ba-yak bol uThā us taraf aa maiñ hī huuñ
jab kahā maiñ ne ki tū hī hai to phir kahne lagā
kyā karegā tū mirā dekhūñ to jā maiñ hī huuñ
sunte hī hans ke Tak ik sochiyo kyā tū hī thā
jin ne shab ro ke sab ahvāl kahā maiñ hī huuñ
'mīr' āvāra-e-ālam jo sunā hai tū ne
ḳhāk-ālūda vo ai bād-e-sabā maiñ hī huuñ
kāsa-e-sar ko liye māñgtā dīdār phire
'mīr' vo jaan se bezār gadā maiñ hī huuñ
Top Urdushayar.com