Meer Taqi Meer

us ka KHayal chashm se shab KHwab le gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
us kā ḳhayāl chashm se shab ḳhvāb le gayā
qasme ki ishq jī se mire taab le gayā
kin nīndoñ ab tū sotī hai ai chashm-e-girya-nāk
mizhgāñ to khol shahr ko sailāb le gayā
aave jo mastaba meñ to sun lo ki raah se
vaa.iz ko ek jām-e-mai-e-nāb le gayā
ne dil rahā bajā hai na sabr o havās o hosh
aayā jo sail-e-ishq sab asbāb le gayā
mere huzūr sham.a ne girya jo sar kiyā
royā maiñ is qadar ki mujhe aab le gayā
ahvāl us shikār zubūñ kā hai jaa.e rahm
jis nā-tavāñ ko muft na qassāb le gayā
muñh kī jhalak se yaar ke behosh ho ga.e
shab ham ko 'mīr' partav-e-mahtāb le gayā
Top Urdushayar.com