Meer Taqi Meer

kal chaman mein gul-o-saman dekha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kal chaman meñ gul-o-saman dekhā
aaj dekhā to baaġh ban dekhā
kyā hai gulshan meñ jo qafas meñ nahīñ
āshiqoñ kā jilā-vatan dekhā
zauq paikān-e-tīr meñ tere
muddatoñ tak jigar ne chhin dekhā
ghar ke ghar jalte the paḌe tere
dāġh-e-dil dekhe bas chaman dekhā
ek chashmak-e-do-sad sinān-e-mizha
is nukīle kā bāñkpan dekhā
shukr zāhid kā apnī āñkhoñ meñ
mai-e-ivaz ḳhirqa-e-murtahin dekhā
hasrat us kī jagah thī ḳhvābīda
'mīr' kā khol kar kafan dekhā
Top Urdushayar.com