Meer Taqi Meer

KHush na aai tumhaari chaal hamein

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ḳhush na aa.ī tumhārī chaal hameñ
yuuñ na karnā thā pā.emāl hameñ
haal kyā pūchh pūchh jaate ho
kabhū paate bhī ho bahāl hameñ
vo dahāñ vo kamar hī hai maqsūd
aur kuchh ab nahīñ ḳhayāl hameñ
is mah-e-chārdah kī duurī ne
das hī din meñ kiyā hilāl hameñ
nazar aate haiñ hote jī ke vabāl
halqa halqa tumhāre baal hameñ
tañgī is jā kī naqal kiyā kariye
yaañ se vājib hai intiqāl hameñ
sirf lillāh ḳham ke ḳham karte
na kyā charḳh ne kalāl hameñ
muġh-bache maal mast ham darvesh
kaun kartā hai musht-māl hameñ
kab tak us tañgnā meñ khīñchiye rañj
yaañ se yārab tū hī nikāl hameñ
tark sabzān-e-shahar kariye ab
bas bahut kar chuke nihāl hameñ
vaj.h kiyā hai ki 'mīr' muñh pe tire
nazar aatā hai kuchh malāl hameñ
Top Urdushayar.com