Meer Taqi Meer

kash uThin hum bhi gunahgaron ke beach

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kaash uThīñ ham bhī gunahgāroñ ke beach
huuñ jo rahmat ke sazā-vāroñ ke beach
jī sadā un abrūoñ hī meñ rahā
kī basar ham-umr talvāroñ ke beach
chashm ho to ā.īna-ḳhāna hai dahr
muñh nazar aatā hai dīvāroñ ke beach
haiñ anāsir kī ye sūrat-bāziyāñ
sho.abde kyā kyā haiñ un chāroñ ke beach
jab se le niklā hai to ye jins-e-husn
paḌ ga.ī hai dhuum bāzāroñ ke beach
āshikī-o-be-kasī-o-raftagī
jī rahā kab aise āzāroñ ke beach
jo sarishk us maah bin jhamke hai shab
vo chamak kaahe ko hai tāroñ ke beach
us ke ātishnāk ruḳhsāroñ baġhair
loTiye yuuñ kab tak añgāroñ ke beach
baiThnā ġhairoñ meñ kab hai nañg-e-yār
phuul gul hote hī haiñ ḳhāroñ ke beach
yaaro mat us kā fareb-e-mehr khaao
'mīr' bhī the us ke hī yāroñ ke beach
Top Urdushayar.com