mushkil hai honā rū-kash ruḳhsār kī jhalak ke
ham to bashar haiñ us jā par julte haiñ malak ke
martā hai kyuuñ to nāhaq yaarī briādrī par
duniyā ke saare naate haiñ jīte-jī tilak ke
kahte haiñ gor meñ bhī haiñ tiin roz bhārī
jāveñ kidhar ilāhī maare hue falak ke
laate nahīñ nazar meñ ġhaltīnī guhar ko
ham mo'taqid haiñ apne aañsū hī kī Dhalak ke
kal ik mizha nichoḌe tūfān nuuh aayā
fikr-e-fishār meñ huuñ 'mīr' aaj har palak ke