Meer Taqi Meer

jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810

jab rone baiThtā huuñ tab kyā kasar rahe hai

rūmāl do do din tak juuñ abr tar rahe hai

āh-e-sahar merī barchhī ke vasvase se

ḳhurshīd ke muñh uupar aksar sipar rahe hai

aagah to rahiye us tarz-e-rah-o-ravish se

aane meñ us ke lekin kis ko ḳhabar rahe hai

un rozoñ itnī ġhaflat achchhī nahīñ idhar se

ab iztirāb ham ko do do pahr rahe hai

āb-e-hayāt saarī ravish hai us

par jab vo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai

talvār ab lagā hai be-Dol paas rakhne

ḳhuun aaj kal kisū vo shoḳh kar rahe hai

dar se kabhū jo aate dekhā hai maiñ ne us ko

tab se udhar aksar merī nazar rahe hai

āḳhir kahāñ talak ham ik roz ho chukeñge

barsoñ se va.ada-e-shab har sub.h par rahe hai

'mīr' ab bahār aa.ī sahrā meñ chal junūñ kar

koī bhī fasl-e-gul meñ nādān ghar rahe hai

Top Urdushayar.com