kasrat-e-dāġh se dil rashk-e-gulistāñ na huā
merā dil ḳhvāh jo kuchh thā vo kabhū yaañ na huā
jī to aise ka.ī sadqe kiye tujh par lekin
haif ye hai ki tanik tū bhī pashemāñ na huā
aah meñ kab kī ki sarmāya-e-dozaḳh na huī
kaun sā ashk mirā mamba-e-tūfāñ na huā
go tavajjoh se zamāne kī jahāñ meñ mujh ko
jāh-o-sarvat kā mayassar sar-o-sāmāñ na huā
shukr-sad-shukr ki maiñ zillat-o-ḳhvārī ke sabab
kisī unvān meñ ham-chashm-e-azīzāñ na huā
barq mat ḳhoshe kī aur apnī bayāñ kar sohbat
shukr kar ye ki mirā vaañ dil-e-sozāñ na huā
dil-e-be-rahm gayā shaiḳh liye zer-e-zamīñ
mar gayā par ye kuhan gabr-musalmāñ na huā
kaun sī raat zamāne meñ ga.ī jis meñ 'mīr'
sīna-e-chāk se maiñ dast-o-garebāñ na huā