Meer Taqi Meer

kuchh to kah wasl ki phir raat chali jati hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kuchh to kah vasl kī phir raat chalī jaatī hai
din guzar jaa.eñ haiñ par baat chalī jaatī hai
rah ga.e gaah tabassum pe gahe baat hī par
baare ai ham-nashīñ auqāt chalī jaatī hai
Tuk to vaqfa bhī kar ai gardish-e-daurāñ ki ye jaan
umr ke haif hī kyā saat chalī jaatī hai
yaañ to aatī nahīñ shatranj-zamāna kī chaal
aur vaañ baazī huī maat chalī jaatī hai
roz aane pe nahīñ nisbat-e-ishqī mauqūf
umr bhar ek mulāqāt chalī jaatī hai
shaiḳh-e-be-nafs ko nazla nahīñ hai naak kī raah
ye hai jiryān-e-manī dhaat chalī jaatī hai
ḳhirqa mindīl o ridā mast liye jaate haiñ
shaiḳh kī saarī karāmāt chalī jaatī hai
hai muazzin jo baḌā murġh musallī us kī
mastoñ se nok hī kī baat chalī jaatī hai
paañv ruktā nahīñ masjid se dam-e-āḳhir bhī
marne par aayā hai par laat chalī jaatī hai
ek ham hī se tafāvut hai sulūkoñ meñ 'mīr'
yuuñ to auroñ kī mudārāt chalī jaatī hai
Top Urdushayar.com