Meer Taqi Meer

hum bhi phirte hain yak hasham le kar

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ham bhī phirte haiñ yak hasham le kar
dasta-e-dāġh-o-fauj-e-ġham le kar
dast-kash naala pesh-rau girya
aah chaltī hai yaañ ilm le kar
marg ik māñdgī kā vaqfa hai
ya.anī aage chaleñge dam le kar
us ke uupar ki dil se thā nazdīk
ġham-e-dūrī chale haiñ ham le kar
terī vaz-e-sitam se ai be-dard
ek aalam gayā alam le kar
bārhā said-gah se us kī ga.e
dāġh-e-yās āhu-e-haram le kar
zo.af yaañ tak khiñchā ki sūrat-gar
rah ga.e haath meñ qalam le kar
dil pe kab iktifā kare hai ishq
jā.egā jaan bhī ye ġham le kar
shauq agar hai yahī to ai qāsid
ham bhī aate haiñ ab raqam le kar
'mīr'-sāhib hī chūke a bad-ahd
varna denā thā dil qasam le kar
Top Urdushayar.com