Meer Taqi Meer

hain baad mere marg ke aasar se ab tak

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
haiñ ba.ad mire marg ke āsār se ab tak
sūkhā nahīñ lohū dar-o-dīvār se ab tak
rañgīnī-e-ishq is ke mile par huī ma.alūm
sohbat na huī thī kisī ḳhuñḳhār se ab tak
kab se mutahammil hai jafāoñ kā dil-e-zār
zinhār-vafā ho na sakī yaar se ab tak
abrū hī kī jumbish ne ye suthrāo kiye haiñ
maarā nahīñ un ne koī talvār se ab tak
va.ada bhī qayāmat kā bhalā koī hai va.ada
par dil nahīñ ḳhālī ġham-e-dīdār se ab tak
muddat huī ghuT ghuT ke hameñ shahr meñ marte
vāqif na huā koī us asrār se ab tak
barsoñ hue dil-soḳhta bulbul ko muue lek
ik duud sā uThtā hai chaman-zār se ab tak
kyā jāniye hote haiñ suḳhan lutf ke kaise
pūchhā nahīñ un ne to hameñ pyaar se ab tak
us baaġh meñ aġhlab hai ki sarzad na huā ho
yuuñ nāla-kaso murġh-e-giraftār se ab tak
ḳhat aa.e pe bhī din hai siyah tum se hamārā
jaatā nahīñ andher ye sarkār se ab tak
niklā thā kahīñ vo gul-e-nāzuk shab-e-mah meñ
so koft nahīñ jaatī hai ruḳhsār se ab tak
dekhā thā kahīñ saaya tire qad kā chaman meñ
haiñ 'mīr'-jī āvāra-parī daar se ab tak
Top Urdushayar.com